Ajj Phir Teri Yaadon Ne Dard-E-Dil Pe Dastak Diya
Mohabbat Ka Fasaana Bil-Aakhir Nakaam Mustaqbil Pe Attak Gaya
Dard-E-Dil=heart’s Door
Bil-Aakhir=finally
Mustaqbil=future
Wohi Barbaadiyon Ki Saughaat Phir Zindagi Mein Aabaad Huwi
Dil Ek Baar Phir Aasuon Ki Mehfil Mein Bhattak Gaya
Jahaan Se Chale Thay Pehle Kabhi
Phir Dil Ussi Mordh Pe Lekar Aa Gaya
Pehle Bhi Kabhi Aabaad Hoke Barbaad Huwe Thay Hum
Aaj Phir Naseeb Ussi Manzil Pe Attak Gaya
Shayad Muqaddar Ne Yahi Saza Mukarrar Ki Humaare Liye
Ke Hum Bimaar-E-Hijraan Ban Ke Saans Lete Rahein
Aabadiyan Barbaadiyan, Milna Aur Bichhadna
Inhi Gardishon Mein Kahin Naseeb-E-Dil Bhattak Gaya