Ajib Hai Yah Panchhi
Jab Bhi Koi Rishta Panapta Hai
Yah Panchhi Wahi Apna Dera Daalta Hai
Sapne Haseen Dikhata Hai
Zindagi Rangeen Banata Hai.
Or Khushi Se Jab Rishta Joom Oothhta Hai
Yah Apni Asliyat Dikhata Hai..
Bina Bataaye Door Ood Jaata Hai
Apni Pahchaan Ki Boo Tak Hawa Se Mita Deta Hai.
Dukh Hai Is Baat Ka….
Rishte Par Asar Kar Jaata Hai, Is Kadar Ke
Nind Chhin Jaati Hai, Chain Loot Jaata Hai
Zindgi Ghum Ke Boz Ka Dher Ban Jaati Hai
Pal -— Pal, Jaise Yuog Si Kathhin Gujarti Hai
Charo Pahar Aankh Se Saawan Barsta Hai.
Sabhi Jaante Hai, Iski Asaliyat. Fir Bhi….
Hai Kuchh Aisa Jaadoo, Iske Aahosh Maie
Apne Rishte Se Joodne Se….
Chahte Bhi Isse Door Nahi Kar Paate Hai…
Haan Bada Ajib Hai, Yah -Ë—ummid-‘ Naam Ka Panchhi.