Ajeem Hain Yai Kurbatoo Ki Doorian Bhi
Sath Rah Kar Bhi Usko Na Pana Kaisa Lagta Hai
Kismat Main Nahee Phir Bhi Usay Cahteey Hain
Phol Samaj Kar Kantoo Par Chalna Kaisa Lagta Hai
Abto Mahfiloo May Bhi Hamaray Liay Tanhai Hay
Ghum Chopakar Kar Mahfil Ko Sajana Kaisa Lagta Hain
Mahfil Main Dosaroo Say Hans Hans Kar Miltay Hain
Tanhai May Ghum Kay Aansoo Bahana Kaisa Lagta Hai
Samjanay Par Bhi Samajta Nahin Hay Yai Dil
Uski Yaad Main Raatoo Ko Jagna Kaisa Lagta Hai
Uski Bairukhi Nay Itnay Deiy Hay Zakhum Kay
Zakhum Khakar Bhi Muskurana Kaisa Lagta Hai
Us Sangdil Nay Toor Diya Meray Armaano Ka Taj Mahel
Dil Kay Kabarustan May Armaano Ko Dafnana Kaisa Lagta Hai
Jab Wo Hans Hans Kar Baat Karey Dosaroo Say
Tub Apnay Aansowo Ko Chopana Kaisa Lagta Hai
Uskay Khokar To Meray Paas Raha Kuch Bhi Nahein
Phir Bhi Khod Ko Ameer Batana Kaisa Lagta Hai
Khod Ko Anmool Samajnay Ka Tha Bara Ghumand
Phir Bhi Baimool Bikjana Kaisa Lagta Hai
Khaiy Hain Dhokay Mohabat Main Itnay Kay
Phir Bhi Usko Chahana Kaisa Lagta Hai
Maloom Hay Is Safaf Ki Manzil Nahein Hay Koi
Phi Bhi Safar Kartain Rehna Kaisa Lagta Hai
Wo To Aakar Bhi Kab Ka Jachuka Hain
Phir Bhi Uska Inteezaar Karna Kaisa Lagta Hai