Aise Halat Bigde Hue Mere Kabhi To Yun Na The
Kiye Kayi Nek Kam Par Itne Ruswa Kabhi Yun Na The

Manzil Pe Baithe Hue Itne Tanah Pehle To Na The
Kisi Ki Intzar Main Kat Di Jo Jindgi Ab Tak

Doobti Nayyiya Pe Atke Hum Rehte Kab Tak
Un Nazro Ke War Mujh Pe Pehle Kabhi Aise To Na The
Matlab Hua Ki Bewafai Ka Daman Hume Bhi Pakdaya Unhone
Gham Ke Kanto Bhari Rahon Pe Chalaya Bhi Unhone
Kyunki In Jagti Aankhon Main Sapno Ke Ye Meethe Ehsaas To Na The
Hume Dikhaya Mohabbat Ka Rasta Par Kyu Nahi Samjhe Khud Usko
Wafa Pe Mere Hanse Khud Ne Jo Kiye Jo Wade Kyun Bhool Gaye Usko
Angaron Pe Reh Kar Bi Bhadke Mere Jazbat Pehle Kabhi Yun To Na The .
Par Is Bat Se Nahi Kafa Ki Tumne Bewafai Ki Hai,,
Aur Na Shikha Hai Ki Hal Pal Marne Ke Liye Judai Di Hai
Apni Sanso Key Un Ghutne Ke Asaar Pehle To Na The.
Socha Ki Takleef Na Ho Aapko.. Jane Par Humare
Jiski Khusi Ke Liye Patthar Rakh Liye Humne Apne Seene Pe Sare
Par Un Khushiyon Main Hamare Katla Ke Auzar To Na The
Chalo Ki Hasti Mita Hi De Hai Tumhari Khusi Ke Liye
Chalo Ki Khud Ko Dafna Hi De Khud Ko Tumhari Nazro Ki Hansi Ke Liye
Par Un Nazro Ki Khushi Main Yun Angaar Pehle Kabhi Aise To Na The