Aise bhi din aate hai
Kya kya yaad dilate hai
chain se socha soyenge
sapne neend udaate hai
munh par unke taala hai
aankhon se batiyate hai
us gulshan ka kya hoga
jismein wo bhi jaate hai
raat ki mahfil aisi thee
subah huee sharmaate hai
vah saraay charchit hoti
jismein raat vitate hai
Qismat khulne wali hai
saaye saath nibhaate hai
bhagya saath jab deta hai
haath kamal ho jaate hai