Aisa Kyun Hotaa Hain
Jab Chaahun Aasmaan Par Jaana
Kaale Baadal Chaa Jaate Hain
Jab Chahun Dhara Par Sthirtaa
Dhara Bhee Dol Pardti Hain

Aisa Kyun Hotaa Hain
Jab Thamu Khushiyon Ka Daaman
Pareshaniyon Ke Cheete Pardte Hain
Jab Chahun Saptrang Ki Srishti
Saptrang Bhikarne Lagte Hain
Jab Jab Abhilasha Ke Pankh Lage Hain
Paristhitiyon Ne Unhe Katra Hain
Jab Jab Abhilashit Man Me Pulkit
Hoti Sapnon Ki Dharaa Hain
Aisa Kyun Hotaa Hain
Jab Sapno Ki Pulkit Pakshi
Chumte Suraj Ki Kirno Ko
Tab Kyun Jab Main Aankhein Kholun
Paati Visham Dharatal Ko