Aisa Hi Hota Hai Ke Jisko Jitna Sambhalo
Utna Hi Door Chala Woh Jata Hai !
Yakeen Naa Aaye Ek Bargi,
Lekin Aisa Wakyaa Bhi Hota Hai
Rota Hai Koi Tootkar Tanhai Mein,
Phir Bhi Duniya Mein Woh Hasta Hai -Â…
Lagta Hai Jaise Mitai Thi Hasti,
Sab Jaise Ab Hara Hua Sa Lagta Hai ..
Jaane Kitne Wade Liye-Diye,
Chhootne Pe Sab Bojhil Sa Dikhta Hai-Â…
Aisa Hi Hota Hai K Jisko Jitna Sambhalo,
Utna Hi Door Chala Woh Jata Hai !
De Jata Hai Sirf Kuch Ehsaas,
Phir Sab Kuch Pehle Sa Hota Hai ..
Karta Hai Kuch Shikwa-Shikayat,
Dil, Lekin Phir Se Shamil Duniya Hota Hai..
Naa Thamegi Uski Zindagi,
Naa Yahan Kuch Rukta Sa Dikhta Hai-Â…
Malum Hai Tum Sambhal Jaaoge,
Dard Toh Sirf Khone Ka Ik Pyar Karne Vale Ko Hi Milta Hai