Aine Ke Samne Bhat Kar, Qadam Kya Barhiye Ga Tu
Apni Maazi, Kuraid Kuraid Kar, Koh Jaiye Ga Tu
Har Surat Main Ek Hi Murat Nazaar Aathi Hain
Jo Har Soorat Yaad Aienge, Unko Kya Bhulaiye Ga Tu
Zakhmon Ki Garhiye, Waqt Ke Saath Barthi Rahin
Is Beh-Ikhtiyaari Pe Kaun Sa Marham Lagaiye Ga Tu
Dil Jaale Ko Kith Ne Araam Se Keh Thi Hain Woh
Apne Shauq Se Door Reh Parwane, Jal Jaiye Ga Tu
Apni Majboor Nigahain, Nargis Se Hata De Diwane
Dekh Te Dekh Te, Unki Garhiye Main Koh Jaiye Ga Tu
Ishq Ki Garhiye, Bhaari Safiye Se Dil Main Chupaiye Thi
Uski Ruswaiye, Muskaan Main Kab Tak Chupaiye Ga Tu
Sawaalon Ka Jawaab Soon Kar, Intezaar Hain Kis Ka
Intezaar Kar Te, Kar Te, Sawaal Bhi Bhul Jaiye Ga Tu
Aankh Namh Ho Chuki Hain, Dil Ke Aansoon Se
Lahoo Chupa Ne Ke Aashkh, Kahan Se Laiye Ga Tu
Taba Kar Ne Wale Ke Siwah, Kuch Nahin Yaad Tujhe
Bacha Ne Wale Ke Samne, Haath Kasai Pehlaiye Ga Tu
Saahil Main Poonch Kar Ithna Itmenaan Na Ho “Asir”
Samander Ko Dekh Te Hi, Pir Se Dhoob Jaiye Ga Tu