Aik Taza Hiqayat Hai Sun Lo To Inayat Hai
Ik Shakhs Ko Dekha Tha Taron Ki Taraha Hum Ne
Ik Shakhs Ko Chaha Tha Apno Ki Tarah Hum Ne
Ik Sakhs Ko Samjha Tha Phoolon Ki Tarah Hum Ne
Wo Shakhs Qayamat Tha Kia Uski Karein Batein
Din Uskr Liye Paida Or Uski Hi Thi Ratein
Kam Milna Kisi Se Tha Hum Se Thi Mulaqatein
Rang Uska Shahabi Tha Zulfon Mein Thi Mehkarein
Aankhein Thi Ke Jaadu Tha ,Palkein Thi Ke Talwarein
Dushman Bhi Agar Dekhein So Jaan Se Dil Haarein
Kuch Tum Se Wo Milta Tha Baton Mein Shabahaton Mein
Haan Tum Sa Hi Lagta Tha Shokhi Mein Sharat Meinlagta Bhi Tum Hi Sa Tha
Dastur-E-Muhabat Mein
Wo Shakhs Hume Ik Din Apno Ki Tarah Bhula
Taroon Ki Tarah Dooba ,Phoolon Ki Tarah Toota
Phir Haat Na Aya Wo Hum Ne To Bohat Dhoonda
Tum Kis Liye Chonke Ho Kab Zikr Tumhara Hai
Kab Tum Se Taqaza Hai Kab Tum Se Shikayat Hai
Ik Taza Hiqayat Hai
Sun Lo To Inayat Hai