Ager Zabano Pe Pabandi Lag Gayi Hogi
To Phir Nigahon Ne Aapas Me Baat Ki Hogi
Hamare Qadmo Ke Niche Ye Phool Kaise Hai
Hame Rijhane Ki Koshish Kisi Ne Ki Hogi

Wo Mere Zakhmo Pe Rakhne Ko Aaye Hai Marhum
Sada Tadap Ke Mere Dil Ne Unko Di Hogi
Mai Dashte-Sehra Se Ho Kar To Aagaya Ho Lekin
Koi Nigah Mujhe Ab Bhi Dhondti Hogi
Abhi Andhera Ager Hai To Kaisi Mayusi
Kabhi To Mere Muqaddar Me Roshni Hogi
Talab Hai Ab Bhi Mujhe Isliye Khilono Ki
Ke Ab Bhi Mujh Me Koi Baccha Ro Raha Hoga
Har Ek Shakhs Mera Chehra Padhta Rehta Hai
Zaroor Us Teri Daasta Likhi Hogi
Mai Kiya Bataon ”Irfan” Mujhe Kyu Wo Rothe Hai
Khata Zaroor Koi Mujhse Hogayi Hogi