Agar Wo Haan Kar Dete To Zamana Aur Hota,
Agar Hath Pakad Saath Chal Dete To Zamana Aur Hota,
Agar Wo Din Kuch Dair Thehar Jata To Jamana Aur Hota,
Agar Us Roj Chand Thodi Dair Karta To Zamana Aur Hota,
Teri Ankhon Ki Nami Mein Jo Dooba Na Hota To Zamana Aur Hota,
Teri Zulfon Ke Saye Mein Khoya Na Hota To Zamana Aur Hota,
Agar Jo Mehndi Hamare Naam Ki Lagate To Zamana Aur Hota,
Ajnabi Dhun Chod Jo Geet Hamara Gungunate To Zamana Aur Hota,
Tere Ishq Ne Agar Dard Na Diya Hota To Zamana Aur Hota,
Us Dard Ko Byaan Kar Bna Shayar Na Hota To Zamana Aur Hota,
Agar Zamana Samajh Leta Pegam-E-Mohabbat Ko,
To Koi Khada Rota Na Hota Ashiqo Ke Janaze Ko,
Tere Takaluf Ki Bhi Kya Tareef Karu Jo Tujh Mein,
Husn Se Jayada Hosla Hota To Zamana Aur Hota.
By Harvinder Singh