Agar Kanch Ke Humare Ghar Naa Hote,
Logon Ke Hathon Mein Patthar Naa Hote.
Agar Logon Mein Ab Insaniyat Baki Hotii,
To Humare Jehan Mein Base Dar Naa Hote.
Agar Imandari Baki Hotii Hum Logon Mein,
To Yoon Jhuke Hum Sabke Sar Naa Hote.
Agar Humne Zamane Ko Naa Bigara Hota,
Pholon Ke Hathon Mein Khanjar Naa Hote.
Agar Burai Hum Mein Naa Hoti Kuchh Bhi To.
Zamane Mein Iss Kadar Badnam Naa Hote.
Insano Mein Agar Kuch Bhii Ahcha Hota Baki,
Ban”Ghayal”Dekh Rahe Ye Manjar Naa Hote.