Agar Jeena Hai To Jeele Iss Pal Ko
Na Jaane,Tere Haath Kal Kya Reh Jaayega
Agar Bant Gayi Duniya Siyasat,Taakat Aur Paiso Ke Zor Par,
To Insaan Ke Beech Sirf Darmiyan Reh Jaayega
Paani Se,‚  Jalti‚  Hui Aag Ko Bhujane Wala Bhi Masiha Hota Hai
Par Aaj Woh Masihaai Kahan
Agar Insaan Jal Gaya To Jalta Hi Reh Jaayega.
“Khwaish” Yeh Na Soch Ke Koi Dusra Jale To Tera Kya Jaayega
Agar Yuh Bastiyan Jalti Rahi To Tu Kahan Jaakar Bas Paayega
Apni Hifaasat Ko Na Somp Kisi Aur Ke Haath Mein,
Jahan Chirag Khud Bhuj Jaaye Waha Sirf Dhuan Reh Jaayega
Main Hindu, Main Musalmaan, Main Sikh, Main Isaai
Kyon Ladte Reh Jaate Hai Log Inn Darmo Ki Aad Mein,
Yeh Kyon Bhool Jaate Hai Insaan Roti‚  To Apni Mehnat Ki Hi Khaayega
Itni Faasle Na Paida Kar Apne Dil Mein Khwaish
Kal Woh Kahin Aur Tu Kahin Aur Reh Jaayega
Gardish-E-Halaat Mein Har Shaks Bebas Sa Hai,
Phir Bhi Chalte Rehne Ki Himmat Rakhta Hai,Kehta Hai,
“Main Har Haal Mein Muskurayunga,Chaahe Dil Mein,
Sisakte Hue Ansuo Ka Karwaan Reh Jaayega
“Khwaish” Na Soch Ke Tera Zor Hai Kisi Par,
Imtihaan Ki‚  Ghadi Mein Tu Khamosh,Tanha Sa Reh Jaayega
Waqt Ke Saath-Saath Beh Jaane De Apne Aansuo Ko,
Varna Aansuo Ka Chupa Hua Tufaan Sab Se Bhari Mehfil Mein Kuch Keh Jaayega
Zindagi Aur Maut Ki Bas Itni Si Kahani Hai Khwaish
Chidiya Udd Jaayegi, Peeche Aashiyan Reh Jaayega.