Agar Hum Aik Ho Jatay
Kisi Ka Kya Bigar Jata
Agar Hum Aik Ho Jatay
Hamesha Ki Tarhan Suraj Tulooh Mashriq Say Hi Hota
Hamesha Ki Terhaan Raatoun Mein Tarey Jag Magatey Aur
Baharoun Mein Gul O Bulbul Mahektey Aur Chechahatey
Kisi Ka Kia Bigar Jata?
Kisi Ka Kia Bigar Jata ?
Agar Hum Aik Houjatay
Na Mein Phirta Yak O Tanha
Na Tum Gum Sum Raha Kartin
Na Jeevan Mein Kami Rahte
Na Aankhoun Mein Nami Rahte
Na Mousam Root,Tey Humsay
Na Rouz O Shab Giran Hotey
Guzartey Pal Yun Hairat Say Hamein Dekha Nahin Kartey
Agar Hum Aik Houjatay
Agar Hum Aik Houjatay
Tu Roohoun Mein Basii Hai
Jou Azal Ki Piyaas Na Rahte
Khalish See Zindagi Mein Phir
Pas E Ehsaas Na Rahte
Koi Hasrat Nahin Rahte
Koi Bhee Aas Na Rahte
Udasee Yaas Na Rahte
Kisi Ka Kia Bigar Jata
Agar Hum Aik Ho Jatey
Agar Hum Aik Ho Jatey