Agar Dekha Hai Masum Chehra Tune Is Laash Ka
Na Kabhi Dushmani Kee Isne, Na Khayaal Kabhi Fareb Ka
Kali Abhi Khilee Nahi, Na Dekhaa Jamaal Saawan Ka
Bataa, Inse Chuktaa Kiyaa Hisaab Kitne Janmon Ka?
Khun Se Lath-Path Jism Hai Ye, Nayee-Naveli Dulhan Ka
Maqsad Jiska Tha Qurbaani Se Ghar Abaad Karne Ka
Le Dekh, Manzar – Tuti Chudiyaa, Aur Mite Sinduron Ka
Bataa, Inse Chuktaa Kiyaa Hisaab Kitne Janmon Ka?
Ye Woh Maraa Jo Tha Zariyaa, Das-Dason Ke Paravarish Ka
Junun Tha Isme Auron Ki Zindagi Ko Sawaarne Ka
Ek Bewaa-Lachaar Maa, Nazaara Laawaaris Bachchon Ka
Bataa, Inse Chuktaa Kiyaa Hisaab Kitne Janmon Ka?
Haqdaar Hai Tu In Bekhataa, Beqasooron Ki Badduaon Ka
Zimmedaar Hai Tu Tadaptee, Jeetee-Zindaa Laashon Ka
Fateh Tumhaari Naa-Mumkin Hai, ‘Satish’ Iraada Hai Sabka
‘Ek-Ek Goli, Do-Do Seene’ Imtihaan Tera Lene Ka