Afsos Hota Hai Jab Mai Kisi Ke Kaam Nahi Aa Paata,
Afsos Hota Hai Jab Mai Kisi Ka Dil Nahi Behla Paata,
Na Jaane Kya Zism Hai Ye Jo
Apni Dhadkanein Tak Mehsoos Nahi Kar Paata,
Yoonto Poore Zism Me Daudta Hai Ye Lahu
Bas In Pathraai Aankhon Ko Hi Nahi Chhu Paata,
Na Jaane Kya Dard Hai Ye Jo
Na Sunaate Banta Hai Or Na Dabaate Banta Hai,
Tanhaaiyaan Dard Barhati Hai Or
Mehphilon Me Bhi Ye Dil Bechein Sa Ho Jaata Hai,
Kuchh Is Kadar Khone Laga Hoon Ke
Na Subhon Ki Fikr Na Shaam Ka Khayaal Aata Hai,
Ye Shikaayat Bhi Rehti Mai Mere Apno Ko
Hame Rishton Ki Rawayat Nibhana Bhi Nahi Aata Hai,
Apnon Ke Gamon Ke Khaatir
Kuchh Aansu Bhi Na Nikle In Aankhon Se,
Or Anjaan Se Chehron Se Milkar
Ye Chehra Theek Se Muskura Bhi Nahi Paata Hai,
Na Jaane Keisi Shakl Ho Gai Hai
Ek Do Nahi Har Apna Ab Yahi Baat Dohrata Hai,
Ye Chaand Lagta To Apna Jaroor Hai
Per Apnon Jaisa Kuchh Isme Nazar Kahaan Aata Hai,