Aey Khuda Tu Kyun Ye Julm Mujhpe
Karta Hai,Kyun Itne Imtahhan Mere
Pyar Ka Leta Hai,
Mein Bhi Ek Insaan Ho Nazuk Dil Hai Mere
Pass,Koi Tere Jaisa Khuda Nahi Jise Ho Dard
Nahi,Har Baar Tood Deta Hai Tu Meri Aas Ko
Kya Tujhe Aata Mujhpe Jara Bhi Taras Nahi,
Tu To Khuda Hai Tu Kya Jaane Dard-E-Judai Ko,
Aakar Pooch Mere Dil Se Kya-Kya Sehta Ye Dil
Bejubaan Hai,Tu To Hasta Hai Mere Gamm Pe Har
Baar Kyunki Tu Sabka Khuda Hai,
Ek Baar Ban Ke Dekh Insaan Tu Bhi, Ek Baar Karke
Dekh Mohabbat Tu Bhi, Ek Baar Choot Ke Dekh Kisi
Apne Se Tu Bhi,Shayad Ho Jaye Khabar Tujhe Mere Gamm Ki,
Tujhe Bhi Pata Chale Judai Ka, Aansoo Ka Ruswai
Ka,Tu Bhi Ghoome Hoke Garib Uss Yaar Ki Bewafai
Ka, Karega Tu Bhi Meri Tarah Fariyaad Inthaa Ki
Jab Hoga Tere Seene Mein Bhi Dard Judai Ka,
Tujhe Mere Khushiyo Se Narazgi Hai To Mujhe Gamm
Hi De De Zindagi Bhar Ka Kyun Use Samne Mere La
Kar Door Kar Deta Hai Kyun Dikha Kar Sapne Uske
Choor-2 Kar Deta Hai,
Aaj Tumse Ek Waada Chahti Ho Khuda Ya To Meri
Mohabbat Louta De Mujhe Ya To Mein Mout Chahti Ho,
Ye Gam-E-Judai Aur Saha Nahi Jati, Aab Mein Rihaai Chahti Ho
Aab Mein Rihaai Chahti Ho.