Aey Dard Tu Mera Saath Nibhata Kyu Hai
Hoon Dost Nahi Fir Aise Yarana Kyu Hai
Thukraya Duniya Ne Mujhe,Diya Tofe Mein Tujhe,
Kaboola Mene Nahi Fir Bhi Tu Saath Nibhata Kyu Hai
Bhatakne De Muhje ,Kho Jaane De Is Andhere Main
Ban Ke Humnava Tu Mujhe Rasta Dikhata Kyu Hai
Ghayal Hai Jism Fir Bhi Kuch Zakhm Hai Baaki
Mile Jo Wo Mujhe To Tu Bachata Kyu Hai
Main Janta Hoon Meri Manzil Ki Rah Main Hai Kaante Bahut
Par Tu Unhe Chunk Ke Hatata Kyu Hai
Manzil Hai Door Abhi Aur Thakne De Mujhe
Tu Mujhe Itne Pyaar Se Sulata Kyu Hai
Magar Aey Dard Tu Hi Hai Zaalim Bahut
Jo Chaho Hamesha Ke Liye Sona
To Tu Mujhe Us Neend Ke Aagosh Se Jagata Kyu Hai