Ae Zindgi Teri Talaash Thi Hame
Par Teri Talaash Mei Hame Khud Ko Kho Dia
Usi Raah Par Jahan Ham Dhund Rahe The Tujhe
Us Raah Par Hame Wo Mil Gaya
Wo Jise Paakar Aisa Lagaa Jaise Mujhe Manzil Mil Gayi
Aisa Lagaa Jaise Mujhe Zindgi Mil Gayi
Jo Tujhse Hoti Basar Ye Zindgaani
Wahi Sab Kuch Hame Us Se Mil Gaya
Paakar Fir Use Hamne
Teri Talaash Ko Dafn Kar Dia
Khush Hoon Mei Inhi Haalaton Mei
Jo Usne Mujhko Hain Diye
Hain Chahe Dard K Kaantein Uske Daaman Mei
Par Chahat K Ful Bhi Usi Se Hain Khile
Sochti Hai “Bhawna” Kyu Na Use Zabt In Nigaahon Mei Kar Loon
Chahe Dur Chala Jaaye Wo Kabhi
Par Jab Chahe Mein Uska Didar Kar Loon
Raha Gar Waqt Meharbaan To Ham Fir Bichdenge Na Kabhi
Gar Dia Khuda Na Fir Kabhi Dusra Janam
To E-Zindgi Tujhse Bhi Mil Lenge Kabhi