Ae Shayar Mere Husn Ki Taarif Na Kar
Kya Hai Jo Tu Taarifon Ke Pul Bandhta Hai
Meri Bhi Waisi Hi Ik Naak Hai Jaisi Teri
Meri Aankhen Bhi Waisi Hi Hain Jaisi Teri
Julf Hai Tujhse Thori Bari Lekin
Woh Bhi Waisi Hi Hai Kaali Jaisi Teri
Sine Main Mere Bhi Teri Tarha Hi Hai Dil
Labon Ki Rangat Bhi Waisi Hi Hai Jaisi Teri
Teri Taarif Ka Hi Hai Ye Asar
Ki‚  Main Ik Jaroorat Kaa Saaman Hoon
Jise Jab Chahe Diya Ja Sakta Hai Daan
Ya Phir Tafreeh(Entertainment) Ke Liye Banya Gaya Shabab Hoon
Tere Haathon Main Naachne Waali Kathputli
Teri Marji Se Chalne Waali Gulaam Hoon
Jab Tune Haya Ke Naam Pe Kapre Pahnaae
Hamne Teri Marji Se Kapre Pahen Liye
Jab Tune Tafree(Entertainment) Ke Liye Utarwaae
Hamne Teri Marji Se Woh Utaar Diye
Tune Ta Umar(All Life) Apni Marji Ki
Aur Mere Saath Jabardasti Ki
Ab Ye Jhoothi Taarif Humen Khati Hai
Haya Ko Gahna Kahke Jab Pahnaati Hai
Jab Ham Pahante Hain Apni Marji Se Libaas
Teri Ibaadatgaah(Religious Place) Se Fatwon(Orders) Ki Sajaa Aati Hai