Ae Samander Aaj Tujh May Itni Kashish Kyun Mahsoos Hoti Hay
Teri Gehrai May Aaj Mujhe Ik Panah Si Kyun Nazar Aati Hay
Teri Lehrain Itni Apnaayat Se Apnay Paas Kyun Bularahi Hain
Tujhe Kiya Khabbar Aye Samandar
Tu Kitne Tootay Dilon Ka Ghum Samaaye Huay Hay Apne Ander
Tere Namkeen Pani Mein Kitni Ankhon Ke Aansoo Shaamil Hain
Kitne Dil Tujhe Apnay Raaz De Ker Wapis Laut Jaate Hain
Kitne Be-Aasira Mayuous‚  Ho Ker Teri Pannah Le Letay Hain
Agar Zindagi Ko Qabool Nahi To Saath Mar Kar Amar Ho Jate Hain
Kitnay Teri Goad May Sar Rakh Kar Meethi Neend So Jate Hain
Ae Samander Tu Sadyuon Se Yunhi Sab Ko Pannah Deta Araha Hay
Har Toote Bhikre Insaan Ko Apni Pannah May Ley Leta Hay
Tere Seenay Per Sar Rakh Kar Aaj May Bhee Sona Chahta Hoon
Teri Bahoon May Chupker Main Duniya Ko Bhoolna Chahta Hoon
Wo Raaz Jo Dil Par Bojh Hay Mere, Tere Supard Karta Hoon
Aaj May Apni Bikhri Hasti Teray Hawaale Karta Hoon