Ae Dost Tu Kissi Ghaflat Mein Mat Parna
Hein Laakhon Ilzaam Magar Tu Unke Peeche Bhi Dekh Kar Apna Faisla Karna
Maana Ke Doob Gaya Hai Tu Nafrat Ke Samandar Mein
Kabhi Ubhar Ke To Dekh, Aaj Bhi Mile Gi Jagga Tujhe Mere Dil-O-Ghar Mein
Nahin Hai Qasoor Tera Ke Logon Ne Tujhe Nishaana Banaya Apni Khudgarzi Ka
Abhi Waqt Hai Ke Faisla Kar Le Tu Khud Ki Marzi Ka
Tujh Pe Chora Hai Maine Akhri Faisla Yahi
Ya Tu Jaag Ja Ya Tu Karde Khoon Teri Sachai Ka Bhi
Phir Na Mile Ga Tujhe Mera Kandha Roney Ko Bhi
Ke Mar Jaayenge Hum To Waappas Na Ayenge Kabhi