Adat Ho Gaye Hai Mujhay Apna Dil Jalanay Ki
Adat Ho Gaye Hai Mujhay Apna Sabar Azmanay Ki
Adat Ho Gaye Hai Mujhay Ghum Main Muskuranay Ki
Adat Ho Gaye Hai Mujhay Khood Ko Azmanay Ki
Ye Dil Bhi Ajab Cheez Hai K Sambhalta Hi Nahi
Bhool Ker Bhi Bhoolta Nahi Hai Baat Bhool Janay Ki
Bas Kusoor Mera Sirf Itna Hai Jo Dil Main Tha Woh Zaban Pe Hai
Mujhay Adat Nahi Thi Auron Ki Tarah Dil Ki Baat Chipanay Ki
Is Dunya Main Jis Ne Zahir Kia Dil Ka Haal Apna
Us Ka Naseeb Hoin Thokrain Zamany Ki
Kuch Logon Ko Izzat Raas Nahi Aati Shayad
Unhay Maloom Nahi Hai Qadr O Qeemat Shayad Mohabbat K Haseen Khazanay Ki
Koi To De Jawab Meray Is Ik Sawaal Ka
Kion Hoti Hai Logon Ko Adat Doosron Ki Wafayen Azmaanay Ki