Adam-E-Khaaki Ki Yeh Khaani Hay
Sun Dastaan Yeh Usi Ki Zubaani Hay
Khuda Ne Kis Hikmat Se Kiya Paida
Muthi Bhar Mitti Aur Baqi Paani Hay
Diya Ashraf-Ul-Makhloqaat Ka Darja
Yeh Makhlooq Sab Mein Giyaani Hay
(Ashraf-Ul-Makhloqaat=aqal Wali/sab Se Aqalmund Aur Oonchi Makhlooq)
Rung,Nasal,Qaumoon Mein Taqseem
Per Sab K Diloon Ki Ek Rawaani Hay
Zamana-E-Pathar Ho Ya Aaj Ki Duniya
Har Daur Mein Isne Chori Nishaani Hay
Aaj Hay Soochay Chaand Per Basnay Ki
Mitti K Putlay Mein Kaisi Yeh Jawaani Hay
(Jawaani=yahan Yeh Main Ne Josh/jazbay K Khiyaal Mein Liya Hay)
Sad Afsoos Howa Kia Haal Bashar Ka Aaj
Roti,Kapre,Makaan Pe Hoyi Begaani Hay
Daulat Ki Dhundh Mein Yeh Hay Khoyi Aaj
Bhool Chuki Ek Din Maut Uss Ko Aani Hay
Bholi Apne Khaaliq Ko Per Woh Nahi Bhola
Hay Uski Amaan Yeh Uski Meharbaani Hay
(Amaan=hifaazat)
Rahe Salaamat Barsay Allah Ki Rehmat Isper
Per Nahi Hogi Fana Yeh Uss Ki Nadaani Hay