Abhee Kuch Aur Karishmay Ghazal Kay Dekhtay Hain
Faraz Ab Zara Lehja Badal Kay Dekhtayhain
Judaaiyan To Muqaddar Hain Phir Bhee Jan-E-Safar
Kuch Aur Door Zara Sath Chal Kay Dekhtay Hain
Rahe-E-Wafa Main Hareef-E-Kharam Koi To Ho
So Apnay Aap Say Agay Nikal Kay Dekhtay Hain
Tu Saamnay Hay To Phir Kyun Nazar Nahin Aata
Yeah Baar Baar Joankhon Ko Mal Kay Dekhtay Hain
Yeh Kon Log Hain Mojood Teri Mehfil Main
Jo Lalachon Say Tujhay , Mujh Ko Jal Kay Dekhtay Hain
Yeh Qurb Kya Hai Kay Yakjaan Huay Na Door Rahay
Hazar Aik Hee Qalib Main Dhal Kay Dekhtay Hain
Na Tujh Ko Maat Huee Hai Na Mujh Ko Mat Huee
So Ab Kay Donon Hee Chalen Badal Kay Dekhtay Hain
Yeh Kon Hay Sar-E-Sahil Kay Doobnay Walay
Samandaron Ki Tahon Say Uchal Kay Dekhtay Hain
Abhee Talak To Na Kundan Huay Na Raakh Huay
Ham Apni Aag Main Har Roz Kay Jalkay Dekhtay Hain
Bahut Dinon Say Nahin Hay Kuch Us Ki Khabar
Chalo Faraz Ko, Ai Yaar Chal Kay Dekhtay Hain