Ab Wo Bechaini Wo Pech-O-Taab Kahaan Honge
Ab Wo Ishq Wo Junoon Ke Aalam Kahaan Honge
Bin Bulaaye Hii Naa Chale Aayein Wo Iss Taraf
Hasrat-O-Yaas Ke Phir Dil Ko Naa Gumaan Honge
Ab Ke Chot Lagi Tau Giriyaan Huye Hum Iss Kadar
Yaqinan Sangrezon Mein Mere Rag-E-Jaan Honge
Mere Seene Se Sambhal Ke Kheinchna Inko
Ki Har Ik Teer Se Lipte Mere Armaan Honge
Larazte, Sambhalte, Dhulak Gaye Jo Do Aansu
Kehne Lage Ab Aur Kya Maut Ke Samaan Honge
Manzoor Thaa Kabhii Marna Teri Nazzron Se Jaana
Ab Tau Yeh Nashtar Mere Zabt Kaa Imtehaan Honge
Tez Hawaon Mein Naksh-E-Pa Mit Hi Jaate Hain
Baad Mere Yahaan Kayi -Ë—paras-‘ Ayaan Honge