Ab Tumhe Dekhne Ka Koi Arth Nahi
Mujhe Samaj Sake Aisa Tera Dil Nahi
Main Chaha Karu Tujko Aur Tu Nafrat
Kare Mujko Ab Ye Mujhe Manjur Nahi
Agar Me Haara Hu Aur Tu Jeet Gai Hai To
Meri Haar Jitna Teri Jeet Me Dum Nahi
Khush Naseeb Hai Vo Jise Tu Mil Gai
Par Usme Main Kya Kar Saku Kyunki
Mere Haatho Me Tujhe Paane Ki
Koi Lakeer Nahi
Aansu Nikle Aur Aankhe Zuk Gai Par
Kab Tak Ye Aankhe Bhigota Rahu
Main Tumhe Dekhu Aur Tum Mujhe Na Dekho
Isiliye Ab Tumhe Dekhne Ka Koi Arth Nahi
Main Likha Karu Aur Tum Padh Na Sako
Agar Padh Sako To Samaj Na Sako
To Phir Mera Gazal Likhne Ka Koi Arth Nahi