Ab Tum Bin Jiya Nahi Jata
Lekin Tum Bin Marna Bhi Nahi Chahta.
Kaisi Ye Jindagi Ki Ajab Kashmakash Hai,
Isme Main Ab Aur Ulajhna Nahi Chahta.
Pahle Main Pyar Se Anjaan Tha,
Kyonki Main Ek Nadan Tha.
Anjaan Tha Main Pyar Ki Rahon Se Kuch Is Kadar,
Jaise Kashti Ka Musafir Sagar Mein Doondhta Hai Rasta Toofano Mein Khokar.
Jab Unki Yaad Aati Hai,
Tanhai Mein Baithkar Ro Leta Hoon.
Is Tarah Ghut-Ghutkar Main,
Tanha Hi Jee Leta Hoon.
Pyar Ko Maine Apna Majhab,
Aur Unhe Apna Bhagwan Mana Tha.
Jab Gaye Hum Unse Apni Mohabbat Ka Jikr Karne,
Unhone Bhari Mehfil Mein Humein Anjaan Mana Tha.
Tuta Dil Mera Kuch Is Kadar,
Ki Jeena Dushwar Ho Gaya.
Lekin Hume Kya Ilm Tha Ki,
Unhe Kisi Aur Se Pyarho Gaya.

By Rohit Sharma