Ab To Tu Laut K‚  Aaja Ke Tujh Bin Viran Hai
Bas Tera Khayaal Har Dam Baaqi Anjaan Hai
Tujh Bin Har Shay Bekaar Hai, Be_maiine Hai Sab Kuch
Tujh Par Jaan Nisaar, Tujh Pe Duniya Qurbaan Hai
Koo-E-Yaar Ka Baar Baar Na Musaafir Banoon
Bhaari Dil Liye Safar-E-Raah-E-Kehkashaan Hai
(Bhaari = Heavy, Sad)
Dil Ka Raaz Chehre Ne Faash Kar Diya, Kambakht
Bohut Dinon Se Ghayab Chehre Se Muskaan Hai
(Faash = Expose)
Be_waqt Kabhi Bhi Aajaati Hai Kyon Teri Yaad
Beech Ghazal Ke Ladkhadaa Jaati Zabaan Hai
Tasalli Karlo Hain Dunya Mai Aur Bhi Miskeen
Tasalli Karli Par Dil Phir Bhi Pareshaan Hai
Phool Bhi Na Dikhaana Hoti Hai Afsurdagee
Band Aankhon Mai Bhi Tasavvur Gulistaan Hai
(Afsurdagee = Sadness}{Tasavvur = Imagination)
Kabhi Teri Tasveer Jalaa Doon Kabhi Yaadein
Moin Ke Seene Mai Ek Aatish-E-Pinhaan Hai
(Aatish-E-Pinhaan = Hidden Fire)