Ab Tak Us Ki Mohabbat Ka Nasha Tari Hai
Phul Baaqi Nahi Khushbu Ka Safar Jaari Hai
Sahar Lagataa Hai Pasine Mein Nahayaa Hua Jism
Ye Ajab Khawaab Mein Dubi Hui Bedaari Hai
[Bedaari = Wakefulness]
Aaj Kaa Phul Teri Kokh Se Zaahir Hoga
Shaakh-E-Dil Khushk Ha No Ab Ke Teri Baari Hai
Dhyaan Bhi Us Kaa Hai Milate Bhi Nahiin Hain Us Se
Jism Se Bair Hai Saaye Se Vafaadaari Hai
[Bair = Enmity]
Dil Ko Tanhaa_i Kaa Ahasaas Bhi Baaqi Na Rahaa
Vo Bhi Dhundhalaa Ga_i Jo Shakl Bahut Pyaari Hai
Is Tag-O-Taaz Mein Tuute Hain Sitaare Kitane
Aasmaain Jit Sakaa Hai Na Zamiin Haari Hai
[Tag-O-Taaz = Running Around Busily/work]
Koi Aayaa Hai Zaraa Aankh To Kholo ‘Shehzad’
Abhi Jaage The Abhi Sone Ki Tayaari Hai
[Taiyaari = Preparation]