Ab Naye Shaharon Ke Jab Nakshe Banaye Jayenge
Har Gali Basti Mein Kuchh Marghat Dikhaye Jayenge
Gair Mumkin Ye Ki Ham Phutpaath Par Bhi Chal Saken
Kyonki Har Phutpaath Par Bister Bichhaye Jayenge
Jis Jagah Tak Har Imaarat Ki Pade Chhaya Wahhna Se
Jhopadon Mein Rahne Wale Sab Hataye Jayenge
Giddh Cheelon Ke Liye Bhi Thoonth Kuchh Sookhe Hue
Har Iwaadat Gaah Ke Baahar Lagaye Jayenge
Jo Padousi Ke Kabhi Dukh Dard Mein Shaamil Na Ho
Us Shahar Mein Aadmi Aise Basaye Jayenge
Aisi Kuchh Aawohawa Mouzood Hogi Har Taraf
Jo Bhi Lenge Sans Wo Beemar Paye Jayenge