Ab Meri Baaton Mein
Pehle Si Baat Nazar Nahin Aati,
Kehne Ko Mil Jaate Hain Unto
Wo Mulakaat Si Nazar Nahin Aati,
Ab Main Unse Milne Ke Khaatir
Waqt Kyon Nahin Nikaal Paata,
Ab Unka Wo Chehra Mujhko
Unke Dar Tak Kyon Nahin Laa Paata,
Kyon Bhool Jaata Hoon Main
Us.Se Judi Hui Har Taareekhein,
Yoon To Kehta Tha Ke ‘Dost’ Hoon Uska
Phir Ye Dosti, Kyon Nahi Nibha Pata,
Kyon Meri Ye Nigaahein
Un Nigaahon Se Katraati Hain,
Kyon Ye Banawati Muskuraahat
Mera Asli Chehra Chhupa Jaati Hai,
Eise Hi Najaane Kitne Sawaalat
Un Laboon Ne Ek Saath Barsaa Diye,
Wo Aankhein Bhii Nam Ho Gai Kehte Kehte
Or Ham Hamesha Kii Tareh Bas
Kuchh Nahi Kehkar, Muskuraa Diye,
Ab Keise Bataate Ke Us.Se Ye Nazdikiyaan
Hamaari ‘Tangdili’ Barhane Lagi Hai,
Wo Jise Dosti Samjhe Beithe Hain-Â…
Hamaari ‘Shakshiyat’ Pe Chhaane Lati Hai.
Him.Mat Na Rahi, Kuchh Bataane Or Jataane Ki
Ekk Umr Saath Rehkar Bhi Wo, Ye Nigaahein Na Parh Paaye,
Or Chand Hi Roj Mein Parh Liye Wo -Ë—naye Khwaab-‘ Hamne
Jo Hame Un Aankhon Mein Nazar Aaye.