Ab Ke Mausam Ki Ada Bhe Boht Ajnabi Si Hai
Abb Ke Dil Ki Har Khwahish Dabi Dabi Si Hai
Behti Hui Aankhon Main Hai Pinhaan Mera Maazi
Palkon Tal’e Har Yaad Teri Youn Saji Si Hai
Nadaan Hoon Abb Takk Teri Ummeed Hai Baaqi
Halanke Yeh Mumkin Nahi Yeh Aagahi Si Hai
Kuon Gardish E Ayyaam Ne Behaal Kiya Hai
Bejaan Jism Ki Tarha Kuon Bebasi Si Hai
Abb Hosh Hai Na Khabr Hai Na Koi Saleeqa
Kuch Din Se Ajab Haalat E Deewaangi Si Hai
Ikk Shab Tha Hum Se Rooth Ghaya Woh Rukh E Roshan
Ab Din Ke Ujaalon Main Bhee Ik Tareeki Si Hai
Uss Bewafa Se Koi Shikayatt Nahi Humain
Haan Zindagi Se Shikwa O Naraazgi Si Hai
Asaan Na Tha Ik Shakhs Ko Youn Dil Se Bhulaana
Yeh Mojza Hua Hai Tou Hairaangi Si Hai
Kal Tak Saja Karti Theen Yahan Mehfilain Har Din
Aangan Main Magar Aaj Boht Khaamshi Si Hai
Deewar O Dar Ki Qaid Se Azaad Huay Hum
Ikk Umr Se Abb Aadat E Awaargi Se Hai