Ab Jab Tut Gayay Hain Sub Bharam To Keh Sakta Hun
Main Juda Ho Kay Bhee Tujhsay Shayud Khush Reh Sakta Hun
Ab Na Tarsayngi Teray Liyay Nghaain Meri
Ab Na Jaayngi Teri Jaanib Raahain Meri
Ab Na Torayga Mujhay Teri Furqat Ka Ghum
Ab Na Tarpaygi Teri Liyay Baahin Meri
Fason-E-Ghasu Tera Ab Na Karayga Girftaar Mujhay
Her Din Ab Na Rehaygi Teri Hasrat-E-Didaar Mujhay
Ab Na Hoga Mujhay Teri Is Berukhi Pay Ranj Koi
Sangsaar Na Karygaa Ab Tera Ye Ghai Sa Kirdaar Mujhay
Her Ada Teri Ab Na Meray Alfaaz Main Dhalygi
Tujhay Paany Ki Tamanna Na Meray Khwaabon Main Palaygi
Ab Na Hoga Aisa Meri Zindgi Ka Nizaam
Ki Teray Ruknay Say Rukay Aur Chalnay Say Chalygi
Kasam To Lay Nahi Sakta Main Is Sub Ki
Koshish Ka Vaadaa Khud Say Hai Zarror Magar
Kyaa Karunga Kaisay Sambhalunga Kuch To Bataay Koi
Daikhogi Kahin Tum Ho Kar Udaasi Main Chur Agar?