Ab Itne Surile Bhi Na Rahe Ay Dil
Ke Tumhaare Liye Kuch Gunguna Sakein,
Bas Iraade Hi Rahe Tumhe Hansaane Ke
Or Isme Bhi Kaamyaabi Na Paa Sake,
Ay Doston Kinara Kar Lo Mujh Se
Shayad Ham Dosti Ki Koi, Misaal Na Bana Paaen,
Mumkin Hai Tum Dard Se Kehraao Kabhi
Or Ham Ek Majboot Kaandha Na De Paaein,
Mere Naam Par Na Jaao Ey Dil
Roshni Kam Hai Tabhi, Raaton Ko Nazar Aata Hoon,
Ye Nazdikiyaan, Bichhadne Ka Dard Deti Hain
Isi Khayaal Se Ye Faasle, Mai Kam Hi Mitata Hoon,
Ye Muskuraate Lab, Chamakti Nigahon Ke Khwaab
Mera Saath Se Kaheen Pheeke Na Pad Jaaen,
Mai To Pehle Hi Sharmsaar Hoon, Apni Naakaami Par
Kaheen Is Chaand Ka Grahan, Tumhe Bhi Na Lag Jaae,
Bas Ek Kaam Karo Ke Tum Itne Kareeb Na Aao
Tum Mai Nahi Ho Sakte Ye Jaanta Hoon Mai,
Mai Bhi Muskuraakar Milon Aksar Tum Se
Or Tum Bhi Khushbuein Bikherkar Chale Jaao