Ab Ek Yug Ka Ant Hone Ko Hai
Lagta Hai Ab Andhera Hone Ko Hai
Sanata Faila Hua Hai Charon Taraf
Or Apni Hi Aag Main Koi Sulgane Ko Hai
Bhumigat Jeevan Se Dukhi Ek Jugnu
Pankh Aane Par Aazaad Hone Ko Hai
Bahar Ki Duniya Se Anjaan Pagla
Kush Hai Par Sikaar Hone Ko Hai
Khud Ki Khusi Chahne Wala Insan
Dusaron Ke Dukh Main Samil Hone Ko Hai
Man Main Asmanjas Ka Mahol Hai Par
Khud Ki Ladai Hai Jisme Haar Hone Ko Hai
Aaj Ek Or Imtihan Hone Ko Hai
Aata Kuch Nahi Or Ab Himat Tootane Ko Hai
Raat Baaki Hai To Sans Baki Hai
Warna Subah To Apne Sath Andhera Lane Ko Hai
Umeed Hai Wo Samjhta Hai
Warna Yahan To Intjaar Ki Bat Aam Hone Ko Hai
Dum Bharta Hun Main Jiski Khudai Ka
Aaj Wahi Khuda Maira Aatur Insaan Banane Ko Hai
Ankur