Ab Chodho Bhee Ye Duniya Jahaan Ki Baatein
Chaliye Hum Khud Ko Hi Aajmaaein
Kitni Sachhaai Hai Apne Bheetar
Duniya Ko Na Sahi, Khud Ko Hi Dikhlaaein
Kitne Dard Hamaare Apne Hi Piroye Hain
Kitni Baar Hum Jhute Aansu Roye Hain
Kab Kab Mujrim Thehraya Oron Ko
Jabki Jhuth Ke Paudhe Hamne Hi Boe Hain
Ab Eisi Bhee Gairat Ki Diwaar Kya
Jo Adna-Adna Se Jhothon Se Banaai Jaae
Gar ‘Jan.Nat’ Milti Ho To Or Baat
Afsos, Jhooth Bhi Isliye Ke Abni Baat Reh Jaae
Ey Nek Insaanon Bahaduri Zism Se Nahi
Apne Dilon Or Dimaagon Se Dikhao
Jamaane Ke Jhukaana Or Baat Hai
Pehle Sachh Apnaane Ki Him.Mat To Jutaao