Ab Bhi Ye Baarishon Ka Sa Mausam Banta Hai
Tum Yaad Aa Hi Jaati Ho Mere Aakaash Pe Chha Hi Jaati Ho-Â…
Kai Baar Sochta Hoon Ke Ek Phone Lagaa Hi Loon
Tumhe Apne Paas Bula Loon Kyonki Jaanta Hoon
Tumhe Bhi Ye Baarishein Bahut Bhaati Hain Meri Hi Taraah..
Per Na Jaane Kya Soch Kar Mai Thithak Sa Jaata Hoon
Shaayad Tum Bhi Isi Khayaal Me Hongi
Ye Sochkar Hi Khud Ko Samjhata Hoon
Jab Bhi Ye Boondein Is Neeras Se Badan Per Padti Hain
To Aankhain Band Karke Mai-Â…jameen Per Pasar Jaata Hoon
Or Tab-Tab Mai Tumhe Apni Anjali Me Baarish Ka Paani
Kabhi Mujhper To Kabhi Khudper Bikherta Huva Paata Hoon
Jab Bhi Ye Ghataaein Aasmaan Per Kuchh Gehraane Si Lagti Hain
Tumhaare Khule Huve Keshon Tapakti Boondein Bhi
In Baadlon Se Girte Paani Si Nazar Aane Lagti Hain
Jab Bhi‚  Mai Apni Chhat Per‚  In Tez Bheegi Havaaon
Ko Mehsoos Karta Hoon Tumhaari Samvedansheelta Ko
Aksar Yaad Kiya Karta Hoon Wo Tumhaara Thand Se
Thithurna, Mere Kareeb Aa Jaana Tumhaara Baar-Baar Chhenka
Kuchh Beemar Sa Pad Jaana Or Gharwaalon Se Daant Khaana
Or Sabke Jaane Ke Baad Mujhe Dekhkar Muskuraana
Or Agli Baarish Ka Mujhse Ek Naya Vaada Le Hi Jaana
Jab Bhi‚  Ye Aasmaan Dil Khol Kar Barasta Hai
Tum Jaanti To Ho Tumhaara Saath Na Hona
Mujhe Kitna Akharta Hai Jab Bhi Ye Barsaaton Ka Sa
Mausam Banta Hai‚  Mai Paas Rahoon Ya Na Rahoon
Bhoolna Mat Ye Shaksh Tumhe Bahut Yaad Karta Hai Jab Bhi