Ab Bhee Hamari Nazroan Mein Ay Hamdem Tum Hee Samaye Ho
Ab Bhee Yaadon Kee Duniya Mein Umeed Kaa Jalwa Laaye Ho
Zapt-O-Sakoon Kee Taaqat Se Sab Tufaanon Pe Chaye Ho
Ab Bhee Hamari Nazroan Mein Ay Hamdem Tum Hiee Samaye Ho
Voh Hii Lambi Raatein Hain Hem Ro Ke Basera Kerte Hain
Ab Bhii Junoon Ke Aalem Mein Hem Shab Bher Aahein Bherte Hain
Ab Bhii Tumhari Yaad Mein Her Saans Pe Jeete Merte Hain
Ab Bhii Hamari Nazroan Mein Aiy Hamdem Tum Hii Samaye Ho
Khuaab O Khayaal Kii Voh Basti Voh Hansti Duniya Zindah Hain
Dil Ke Goshe Goshe Mein Posheedah Tamanna Zindah Hain
Ab Bhii Iska Charcha Hain Voh Ishq Mera Paayindah Hain
Ab Bhii Hamari Nazroan Mein Aiy Hamdem Tum Hi Samaye Ho
Khuauboan Ke Haseen Jharonkon Mein Rangeen O Haseen Barsaaton Mein
Soatein Mein Baatein Hoti Hain Saawen Ki Raseeli Raatoan Mein
Qasmoan Pe Qasmein Hoti Hain Haan Ab Bhi Baatoan Baatoan Mein
Ab Bhii Hamari Nazroan Mein Aiy Hamdem Tum Hi Samaye Ho
Lutf-E-Sukhen Baaqi Hai Abhi Rangeen Gulistaanon Mein Mushi
Ab Bhii Sakoon Mil Jaata Hai Umeed Ke Aiwaanon Mein Mushi
Ab Bhii Mehmaan Hote Hain Armaan Ke Shabistanon Mein Mushi
Ab Bhii Hamari Nazroan Mein Ay Hamdem Tum Hi Samaye Ho