Ab Bazoo-E-Jahaan Mein Baaqee Asar Nahin
Roke Mere Qadam Jo Koyee Rehguzar Nahin
Hai Dil Mein Aasmaan Talak Jaane Ki Hasratein
Hai Aisi Shai Nahin Ke Ho Jis Pe Nazar Nahin
Chaltaa Hoon Le Ke Rang Bhi Mausam Ke Saath Saath
Ek Raaste Hi Sirf Yahaan Mere Humsafar Nahin
Pahonche Nazar Jahaan Talak Hain Is Ke Daaire
Ab Mere Aashiyaan Ke Hain Deewaar-O-Dar Nahin
(Daaire = Boundaries, Limits)
Aisi Khushee Hai Dil Hi Sambhaltaa Nahin Mera
Aisa Hai Dard Jis Ke Kahin Chaaragar Nahin
Be-Dard, Be-Qadar, Be-Aas, Be-Sabab
Ho Jaaoon Sochtaa Hoon Main Aisa, Magar Nahin
Maana Ke Har Koyee Yahaan “Khurram” Nahin Magar
Dekhaa Kisi Ne Dil Mein Kabhi Jhaank Kar Nahin