Ab Aankhon Se Ashk Nahi Girte Hain,
Yaaron Se Hans Kar Hum Milte Hain.
Khanjar Chalaaye Berukhi Unki,
Ghayal, Hum Roz Zakhm Seete Hain.
Wo Pyaar, Wo Aashnaayi Hui Gum,
Shama Tale Roshni Dhoondhte Hain.
Kya Hai Sabab Is Dard O Ghum Ka,
Mathe Ki Shikan Se Poochhte Hain.
Pal Bhar Ki Khushi Wehem To Nahi,
Hasrat Pe Apni Gumaan Karte Hain.
Labon Par Nahi, Kaaghaz Pe Sahi,
Daastaan E Dil Yun Bhi Likhte Hain.
Raahein Suuni, Safar Barson Ka,
Baadal Jaise, Hum Bhi Chalte Hain.