Aayi Hai Sabaa Phir Se Khyaal-E-Yaar Liye Huvey
Baithaa Kab Se Koi Hasrat-E-Deedaar Liye Huvey
Hai Jashn Ye Saalgiraah Ka Mubaarak Ho Aap Ko
Aaye Ye Din Baar Baar Masarat-E-Hazaar Liye Huvey
Mausam Ka Hai Ye Faiz Ya Dil-E-Shadaab Ka Kamaal
Aaghosh Maen Bahaar Ke Chaman Gulzaar Liye Huvey
Aaj Bhi Aap Ke Dar Aamad Ki Kaifiyat-E-Dil Yaad
Kadam Dabe-Paon Dhadkane Tez Raftaar Liye Huvey
Haiy Shokhi Kahe Ise Ya Intehaaye-Alaam-E-Hijaabi
Baithi Rahi Aap Darmiyaan Dar-O-Deewaar Liye Huvey
Thaa Ammi Par Ab Talak Faqat Mera Hi Ikhteyaar
Lauti Bazm Se Aap Ke Aur Ek Daawedaar Liye Huvey
Jab Kabhi Chidaa Ghar Maen Zikr Aap Ka To Suna
Dil Beqaraar Kiye Huvey Soorat Ghaflatshar Liye Huvey
Tarasnaa Hai Ek Shokh Ki Awaaz Ko Aur Voh Hain
Ke Ab Bhi Khamosh Meri Taskeen-E-Guftaar Liye Huvey
Chuppa Ke Ammi Se Dekhna Barhaa Tasveer Aap Ki
Shayad Na Karey Woh Vaapis Ab Ki Baar Liye Huvey
Kahlvana Saheli Se Roz-E-Mangni Farmaish-E-Ghazal
Arey Baithaa Thodi Na Tha Maen Taiyaar Liye Huvey
Khush Fahmiye Ghazal Saraai Kyon Na Ubhrey Ae Dil
Barhaa Padha Karenge Aap Hazaar Baar Liye Huvey
Ek Roz Aap Ke Dar Par Phir Aayegaa Ye Bashar
Hothon Pe Iqraar-E-Vafa Dil Maen Pyaar Liye Huvey
Muntazir Hai Kab Se Aap Hi Ki Mehfil-E-Shaayraana
Baithe Hain Jatinder Bhi Sekdon Ashaar Liye Huvey