Aayen The Wo Ek Din Anjaan Banke Yaha,
Par Aaj Wo Dil Ke Sab Se Kareeb Aa Gaye
Aakar Meri Is Zindagi Mein Wo Bas Gaye,
Mere In Hothon Pe Wo Muskaan La Gaye.
Meri Ye Mohabbat Ko Usne Dil Se Samjha,
Meri Mohabbat Ko Apni Zindagi Bana Gaye.
Apne Pyaar Bhare Is Andaz Ke Zariye Aaj,
Mere Dil Pe Wo Hamesha K Liye Chha Gaye.
Dhadkane Kardi Meri Apne Naam Usne ,
Aur Wo Is Dil Me Fir Chupke Se Sama Gaye.
Banke Meri Har Raaton Ka Khawaab Wo,
Mere Har Lamhe Ko Wo Yun Churaa Gaye.
Khusiyaan Bhardi Usne Meri Zindagi Me,
Sare Dard Ko Zindagi Mese Wo Mita Gaye
Chal Raha Tha Bin Mazil Ke Anjan Raste Pe,
Aakar Zindagi Me Wo Sahi Rasta Dikha Gaye
Ruthna Bahot Achha Lagta Hai Bar Bar Mujhe,
Har Baar Apne Pyaar Se Mujhe Mana Gaye
Bitaye Hain Jo Pyaar Bhare Lamhe Sath-Sath,
Wo Sare Lamhe Mere Is Dil Me Sama Gaye.
Intezar Se Hi Waqt Guzarta Hai Ab To Mera,
Unko Paane Ki Wo Dil Me Chahat Jaga Gaye
Aasman Ka Sitara Banne Ki Khwais He Usko,
Wo To Kab Ke Mere Is Dil Ka Sitara Ban Gaye
Toot Raha Tha Kisi Waqt Main Is Zindagi Me,
Dekar Apna Sath Wo Mera Sahara Ban Gaye.
Behek Raha Tha Jo Zindagi Ke Samandar Me,
Aakar Wo Is Samandar Ka Kinara Dikha Gaye
Zindagi Berang Thi Pehle Meri Uske Bager,
Pyaar Bhare Rishte Se Zindgi Meri Saja Gaye
Ruk Gaya Tha Jo Safar Me Bich Bich Me Kahi,
Wo Bhi Mere Sang Sath Dene Ko Theher Gaye
Pata Nahi Tha Pyaar Ka Matlab Kya Hota Hai,
Ehsaas K Zariye Pyaar Ka Matlab Samjha Gaye.
Pyaar Ki Jaise Zindagi Me Barish Hui Mujhpe,
Uske Pyaar Me Ab Hamesha K Liye Ab Bhig Gaye
Hesiyat Nahi Thi Meri Yaha Kuch Likh Pane Ki,
Uski Wajah Se Aaj Kuch Yaha Likhna Sikh Gaye.
Pyar Ko Mere Smjhna Achhi Tarha Ata He Usko
Peshkas Ke Zariye Pyaar Ko Sab Ko Samjha Gaye.
Pyaar Bhara Ye Ehsaas Dekhkar Kal Uksa Yha,
Meri In Ankho Me Khusi Ke Mare Aansu Aa Gaye