Aaye Ho To Thoraa Baitho, Ek Raaz Ki Baat Batatay Hain
Tum Samjho Ya Na Samjho Phir Bhi Tum Ko Samjhatay Hain
Jee Kar Kai Naam Kamana To Aksar Logon Ko Ata Hai
Kuch Aisay Log Bhi Hotay Hain Jo Mar Kar Naam Kamatay Hain
Pahlay To Payar Ki Baatain Wo Sharma Sharma Batlatay Thay
Ub Haal-E- Dil Ka Afsana Batla Kar Kay Sharmatay Hain
Pahle Wo Ghussau Main Aksar Ruk Ruk Karkai Chal Padaltay Thay
Ub Maray Khayaloo Main Shayad Chaltay Chaltay Ruk Jatau Hain
Maaloom Nahin Dil Ki Dharkan Seenay Mein Hai Ya Mahfil Mein
Lakin Ham Unkay Jaatay Hi Baychain Bahot Ho Jatay Hain
Koi Dhoondo Us Shaair Ko Jisnay Chand Acchay Shair Likhay
Likhtay Likhtay Wasey Aksar Khud Main Hi Gum Ho Jatay Hain