Aata Hai Yaad Mujhko Guzraa Huwa Zamaana
Woh Baag Ki Bahaare Woh Sab Ka Chechahana
Azaadiyaa Kaha Woh Ab Apne Ghosle Ki
Apni Khushi Se Aana, Apni Khusi Se Jaana

Lagti Hao‚  Dil Par, Aata Hai Yaad Jis Dam
Shabnam Ke Aasuoo Par Kaliyoo Ka Muskuraana
Woh Pyaari Pyaari Surat, Woh Kaamini Si Murat
Aabad Jis Ke Dam Se Tha Mera Aashiyaana
Aati Nahi Sadaayee Us Ki Mere Kafas Mein
Hoti Meri Rihaahi Ay Kaash Mere Bas Mein
Kya Bad-Naseeb Hoo Mein Ghar Ko Taras Raha Hoon
Saathi To Hai Watan Mein, Mein Kaid Mein Pada Hoon
Aayi Bahaar, Kaliya Phoolo Ki Has Rahi Hai
Mein Is Andhere Ghar Mein Kismat Ko Ro Raha Hoon
Is Kaid Ka Ilaahi, Dukhda Kise Sunaoo
Dar Hai Yahee Kafas Mein, Mein Gam Se Mar Na Jaooo
Jab Se Chaman A Hai Yeh Haal Ho Gaya Hai
Dil Gam Ko Kha Raha Hai, Gam Dil Ko Kha Raha Hai
Gaana Ise Samajh Kar Khush Ho Na Sun-Newale
Dukhe Huwee Diloo Ki Faryaad, Yeh Sada Hai
Azaad Mujh Ko Kar De O Kaid Karne Wale
Mein Bezoobaa Hoon Kaidi, Mujhe Choodh Kar Dua Le