Aasman Na Hota To Chand Bhi Na Hota
Zakhm Ke Bina Dard Ka Ehsaas Bhi Na Hota
Jahan Rahega Wohi Roshni Lutaayega
Kisi Chiraag Ka Kabhi Apna Makaan Nahi Hota
Yeh Kis Mukaam Pe Le Aayi Hai Tanhai
Ke Ab Dard‚  Bhi Is Dil Se Bayaan Nahi Hota
Mere Aansu Keh Gaye Haa-E-Dil Is Mehfil Mein
Varna Khwaish Jaan De Deta Par
Labon Par Koi Gila Nahi Hota
Main Unhe Bhool Gaya Hoon
Yeh Kaun Maanega Is Duniya Mein
Har Ek Ko Manana Khwaish
Insaan Ke Bas Mein Nahi Hota
Koi Dard Bhari Aankhon Se Dekhle Humein
Main Woh An Kahi Baat Hoon
Jo Honton Par Aate -Aate Dam Tod Chuki Hai
Aur Bin Awaaz Ke Kisi Ko
Dard Ka Ehsaas Nahi Hota
Khwaish Ki Pehchaan Koi Na Samaj
Paaega Is Jahaan Mein
Main Woh Lafz Hoon Jo Kabhi Dastaan Nahi Hota