Aasman Ki Neelahat
Apna Wajood Kho Baithee The
Suraj Badaloon Main
Munh Chupaye So Raha Tha
Barhna Shajar
Apne Jismoon Ko Samete
Khamoosh Khade They
Lambi Lambi Sun Saan Sadkain
Safaid Chaadrain Odhai
Sarpat Daude Ja Rahin Thein
Yakh, Thandi, Sard Hawain
Jismoon Ko
Tah Ba Tah Libadon Main Bhi
Munjamid Kiye Jati Theen‚  (Munjamid–Jamna)
Aasman Se
Baraf Ki Safaid Ladiyan
Naye Saal Aur Mausam Ki
Mubarakbad Dene
Utri Chali Aati Theen
Main Khamosh
Atishdan Ke Samne Baitha
Shiryano Main
Jame Khoon Ko
Pighlane Ki Nakam
Koshish Main Mubtila
Tumhare Bare Main Sooch Raha Hun
Jab Bhi Tum Mere Paas
Hoti Theen
Mujhe Kabhi
Kisi Atishdan Ki
Zarurat
Nahin Padi