Aasmaan Saaf Tha Khil Rahi Thi Chandni
Sitaron Se Bhi Aa Rahi Thi Mand Mand Roshani
Raat Ki Khamoshi Ko Jaise De Rahi Jubaan
Gaa Rahi Thi Pawan Bhi Mithi Mithi Raagini
Umar Hi Aisi Hai Kuch Ya Yeh Mera Khayal Tha
Mehsoos Ho Rahi Thi Harpal Jaise Kisi Ki Kami
Aise Mein Koi Pyar Se Dil Par Mere Dastak Kare
Aur Yeh Samajhe Ki Jaise Mujhko Nahin Koi Khabar
Dastak Yeh Dhadkan Banke Aise Raat Din Dhadka Kare
Ki Dil Ko Iski Hi Hai Jaroorat Ab Dhadkne Ke Liye
Rok Lo Saanson Ko Meri Par Dil Ko Dhadkaaya Karo
Yun Baar Baar Mere Pyar Ko Ab Na Aajmaaya Karo
Cheer Lo Seena Humara Jismein Dhadkta Hai Yeh Dil Tumhara
Deekh Lo Apni Aankhon Se Tum Apni Dastakon Ka Is Par Asar
Har Ek Dastak Se Tumhari Ismein Aati Jaan Hai
Aur Dastak Na Mile To Kitna Yeh Bejan Hai
Ab To Khwaish Hai Yeh Meri Ki Jab Bhi Loon Main Ab Janam
Dil Jo Mujhko De Khuda To Tum Hi Ho Uski Dhadkan
Aur Yun Hi Chalta Rahe Dastakon Ka Silsila
Phir Na Rahe Shikwa Kisi Se Aur Na Koi Gila