Aashu Bahna Chahte Hai Par Majburi Hai
Is Duniya Ke Samne Hasna Jaruri Hai,
Pyaar Ko Pana Aasa Nahi Hai Jahan Mein
Ise Pane Ke Liye Kya Kuch Khona Jaruri Hai
Pale The Jinke Aanchal Mein Wo Maa-Baap
Aaj Bane Virodhi Hai Aasu Bahana Chahte Hai
Par Majburi Hai Kya Galat Kiya Jo Pyaar Kiya
Pyaar Puchhkar Karna Kya Jaruri Hai,
Wo Nahi Hai Agar Apni Jaat Ka
Pyaar Karne Se Pehle Jaat Dekhna Kya Jaruri Hai,
Aasu Bahana Chahte Hai Par Majburi Hai
Aaj Wahi Maa-Baap Jo Lutate The Jaan
Bachane Mein Lage Hai Apni Shaan
Shaan Dikhane Ke Liye
Kya Apne Hi Khun Ki Khushiya Chhina
Jaruri Hai Rona Chahte Hai Magar Majburi Hai
Hasna Hai Hume Taki Khush Rahe Sab
Par Kya Unke Liye Humari Zindgee Jaruri Hai?