Aap Aaye The To Sukun Ki Hawa Chali Thi
Jab Se Gaye Zindagi Veeran Si Padi Hai
Gham Hai Saath Aur Meri Tenhai Bhi Yehin Hai
Jaam Se Jude Aise Ki Ab Apni Pehchan Nahi Hai
Koi Jhoothi Aas Bhi Nahi Ab Zinda Rehne Ki
Sach Kehte Hain Log Ye Ishq Aasan Nahi Hai
Ab Aakhir Zindagi Ko Tawajjo Kyon Doon
Mere Paas Jab Aapka Koi Saaman Nahi Hai
Yaadein Lene Bhi Kabhi Kya Koi Aaya Hai Waapas
Ki Tum Bhi Aaoge Aisa Mjhe Gumaan Nahi Hai
Tumse Milne Se Pehle Bhi Main Tenha Tha Bahut
Bas Ab Meri Is Haalat Se Koi Anjaan Nahi Hai
Hai Itna Mayooskun Musaafir Ki Yeh Kehta Hai
Maut Bhi Aayegi Kahan Jab Koi Aashiyaan Nahin Hai